Khoon ke Aansoo

Phir na nikalna iss tareh ay guruub e aftab
Ke mera dil aaj khoon ke aansoo ro raha hay

Ye mera dil, meri dharkan, meri saans
Aaj saneha-e-buzdili ki daastaan pe ro raha hay

Voh maa, behan, voh bhai aaj kyun apnon se bechar gaye
Farishta-e-sifat bachon se kyun koi badla le raha hay

Qaatil tum naheen, hum naheen, koi bhi naheen
Voh phir masoom lashon ke unbaar kyun laga raha hay

Dekho aaj ilm ke paristaar wahan chal basay
In taarik rahon main kyun koi dia bhuja raha hay

Raasta hay kathan, manzil bohat door apni
In halaat main kyun koi kaante bicha raha hay

Phir na dilana yaad mujh ko ye din saaqi
Ke mera dil aaj khoon ke aansoo ro raha hay

Ke mera dil aaj khoon ke aansoo ro raha hay . . . .

(C) Atif Mumtaz December 16, 2014

Dedicated to the victims of Peshawar Attack.

Advertisement